Thursday, 2 February 2017

kalonji benefits for stomach in Urdu | کلونجی کا استمعال معدہ کے لئے



kalonji benefits for stomach in Urdu
kalonji ke be shumaar fawaid ke baray mein to sab hi jantay hain kalonji mein be shumaar bimarion se nijaat ki qowat hai kalonji ko adwiyaat ke ilawa khanay aur achaar waghera mein bhi istemaal kya jata hai.
Gharz yeh ke kalonji khanay mein zayega bhi peda karti hai aur senkron bimarion mein Shifa bhi hai. nabi akrm SalALLAHo aleh wasallam ka irshad hai kalonji istemaal kya karo kyun kay is mein mout ke siwa har bemari ke liye Shifa hai.
Huzoor nabi kareem Sal ALLAH aleh wasallam ney aaj se chodan so saal qabal jo arshadat farmaiye tib o science aaj is ki tasdeeq kar rahay hain.
Tibbi mahireen ka kehna hai ke kalonji ki ifadiyat ke baray mein jitni bhi reserch ki gayi hai ab taq is ke tamam tar fawaid ka pata nahi chalaya ja saka hai hikmat chain ho ya tib yunan, jari bootion ka istemaal jadeed daur mein bhi mufeed mana jata hai.
kalonji ki yeh aik ahem khasiyat hai ke yeh garam aur sard dono terhan ke amraaz mein mufeed hai, jab ke is ki apni taseer garam hai aur sardi se honay walay tamam amraaz mein mufeed hai.
Nizaam hazem ke liye kalonji mofeed ha nizaam hazem ki islaah ke liye akseer ka darja rakhti hai.
Reah gas aur bad hazmi mein kalonji se bohat faida hota hai. Woh log jin ko khanay ke baad pait mein bhaari pan gas ya reah bhar janey aur apahry ki shikayat mehsoos hoti ho kalonji ka sufoof teen gram khanay ke baad istemaal karen to nah sirf yeh shikayat jati rahay gi balkay maiday ki islaah bhi hogi.

0 comments: