Thursday, 9 February 2017

پاکستانی لڑکی نے ہر کسی کے دل کی بات کہہ دی




Pakistani Larki ny yun to hamaray muashray mein kayi terhan ki kharabian payi jati hain magar khawateen ko jis terhan sareaam harasan ki jata hai, woh bhsit muashra hum sab ke liye sharam ka maqam hai. is be hiyai ka irtikaab karne walon mein zara si bhi sharam ho to Website Mango baz par shaya honay wali is tehreer aur appeal ko parh kar tauba karen aur apni islaah kar len. yeh fikar angaiz tehreer qalamband karne wali khatoon likhti hain jb aik roz mein apne dupattay ko apne kaandhon par durust kar rahi thi to mujhe aawaz aayi mein sadqy mein mehsoos kar sakti thi ke tareek nigehain mujhe har zawiye se taq rahi theen, jabkay meri apni nigehain zameen par gaarii theen.
Mujhe maloom tha ke mein ne mukammal parda kya hwa tha lekin yun lag raha tha jaisay mein burhenapa thi aur har qadam par mujhe pamaal kya ja raha tha. woh log jo bzahir mujhe baji kehte hain unhi mein se kuch mujhe' ghalti se' chone, haath laganay aur sath takrany ke murtakib ho chuke hain.
Mujhe zindah rehna hai aur apne kaam karne hain, lehaza is ke siwa koi charah nahi ke aisay chachron ka saamna karoon. yeh sirf meri kahani nahi, be shumaar deegar khawateen bhi aisa hi mehsoos karti hain.
Khawateen par aawazian kasna har jagah paaya jaane wala masla hai. yeh sirf kam Umar larkiyon ka masla nahi hai. Mein apni dadi amma ko harasan kiye jaane ka manzar dekh chuki hon jabkay be hiyai karne wala shakhs yun khush ho raha tha jaisay yeh koi be hadd mazahiy kaam ho.
Meri aik dost jab mehez 12 saal ki thi to aik baar mardon ke aik ghool ne usay ghair liya tha. so, har Umar ki khawateen, chahay parda karti hon ya nah karti hon, inhen insanon ki bajaye ashya k tor par dekha jata hai.
Kyun is tajarbay se guzarnay wali aksar khawateen ko zehni dabao aur depration ka saamna karna parta hai.
Yeh duniya ka saamna karne se ghabranay lagti hain. Mein khud itni pareshan hoti hon ke qareebi stor taq akailey jaane se ghabrati hon. Mein bhi ensaan hon, aap ko hargiz haq nahi pohanchana ke aap mere sath aisa sulooq karen.

0 comments: