Sunday, 19 February 2017

Hand Palmistry in urdu | آپ کو زندگی میں بہت دولت ملنے کا امکان بے


Palmistry Hand Reading in Urdu
Amrici saddar ko un ke mukhalfin aksar yeh keh kar mazaq ka nishana banatay hain ke un ki ungelian bohat choti hain, aur aap ko yeh bhi maloom ho ga ke woh bohat doulat mand aadmi hain.
Yaqeenan aap kahin ge ke bhala un do baton ka aapas mein kya talluq hai, to janab science danon ka kehna hai ke un do baton ka aapas mein bohat gehra talluq hai.
Scienci jareeday asian journal of Andrology mein shaya honay wali aik tahaqeeq ke mutabiq mardon ki unglio ki lambai aur maali lehaaz se un ki kamyabi mein talluq paaya jata hai.
Umooman choti unglio walay mard ziyada doulat ke husool mein kamyaab rehtay hain, aur khasosan angothi wali ungli jitni choti ho doulat bhi itni ziyada millti hai.
Esi terhan jareeday aknamks and human Beauology mein shaya honay wali aik tahaqeeq ke mutabiq shahadat wali ungli ki nisbat angothi wali ungli ki lambai kam ho to dheron doulat milnay ka imkaan ziyada hota hai.
Un dono unglio ki lambai ki nisbat jitni kam ho gi achi aamdani aur ziyada doulat ka imkaan bhi isi hisaab se ziyada ho g.

0 comments: