Admai Fahasi k Aday par Chala gaeya | آدمی فحاشی کے اڈے پر چلا گیا
Bachay apne walidain ko dekh kar sikhte hain, aur baaz auqaat ghaflat mein mubtala walden apne bachon ko is qader gumraah kar baithtay hain ke aakhir un ka injaam dekh kar khud bhi kanp uthte hain. Apni zindagi fahaashi ke adon ki nazar karne walay cheeni shehri yang ke sath paish anay wala abrtnak waqea bhi aik aisi hi misaal hai.
Report ke mutabiq yang ka kehna hai ke woh nan jayang west road par waqay mashhoor night club mock mein daakhil hwa hi tha ke wahan apni 14 sala beti ko dekh kar is ke paon taley se zameen nikal gayi.
Yang ka kehna hai ke is ki beti ne intahi fehash libaas pehan rakha tha aur customers ko sharaab paish kar rahi thi.
Yeh manzar dekh kar goya is par saktah taari hogaya. jab is ke hawaas kuch bahaal hue to beti ki janib barha aur usay aawaz di lekin woh usay dekhte hi bhaag khari hui aur pichlle darwazay se faraar hogayi.
Yang ka kehna hai ke woh apni beti ki bahafazat ghar wapsi ke liye intahi fikar mand raha. is ne police se rabita kya jabkay media se bhi baat ki, kyunkay woh deegar walidain ko khabardaar karna chahta tha ke un ki ghaflat ka nateeja aisa bhayanak bhi ho sakta hai.
Yang ka kehna hai ke bil akhir jab is ka rabita apni beti se hwa to is ne bataya kya ke is night club mein woh wahid kamsin larki nahi thi balkay wahan chay aur aisi larkiyan kaam kar rahi theen jin ki Umar 16 saal se kam thi.
Baad azan police ne tahaqeeq ki to pata chala ke wahan aik 13 sala larki bhi kaam kar rahi thi. Yeh inkishafaat samnay anay ke baad muqami police aur intizamia ne night clubon ke khilaaf operation ka aaghaz kar diya hai taakay kamsin larkiyon ko jism faroshi ke dhnde ka hissa ban'nay se roka jasakay.
0 comments:
Post a Comment